| AADHUNIK MAJNU |
|
|
|
originally composed by: ANUJ PRAKASH 'AWARA'
(maine is poem ko apne kisi friend se inspire hokar likha hai. but yahan bhi apne aas paas kayi saare aise log mil jaayenge.) aaj hum ek aise shakhs se baat karte hai jo tarah tarah ke swang rachakar ladkiyon ko lubhaya karte hai... ladkiyon ko lubhane ke chakkar mein hi jinhone apne baalon ki halat bigaad di pehle sir per pony tail rakhi, baad mein wo bhi kaat di uske baad to baalon ki jaane kaisi ajeeb si shape banayi aur poore baal hi utar diye ishq mein jo hua so hua, baalon mein kaafi paise barbaad huye ab shayad wo line per aa rahe hai kyonki baalon ko naye dhang se saja rahe hai magar ab kapdon ki shamat aayi hai kyonki unhone abhi abhi ek bellbottom silwayi hai baalon ki tarah kapdon ke bhi shayad naye naye design gadenge baal to utaar diye bhai magar kapde utaare to bahut joote padenge saath hi chalne ka naya style dikhate hai uchak uchak kar chalte hai aur bandhe pairon wale gadhe ki chaal ka ehsaas dilaate haiin ladkiyon ke chakkar mein ab tak jaane kitni baar joote pade hai magar dhairya to dekhiye wo abhi bhi gali ke nukkad per khade hai badi dhoortta se kahte hai ki hum ishq karenge humne poochha ki tab kya jab uske baap ke dande padenge ise sunkar unka josh thanda ho gaya aur bole yaar kal hi to bagal wali ke bhai ne ki pitayi hai aur kuchh hi dino pehle saamne wali ke premi ke haathon maar khaayi hai iske baap ne bhi maara to isse bhi kinara kar lenge aur koi nahi to chowk waali ka hi saath pakad lenge waise to chowk wali bhi badi aattayi hai usne do din mein do hazar ki chapat lagayi hai maine poochha ki jisko patayenge kya usi ke saath shaadi bhi rachayenge is per muh sikod kar bole kya lalluon jaisi baat karte ho dimaag mein kuchh kharaabi hai, shakal bhi ulluon jaisi rakhte ho tum kya samajhte ho ki hum yeh sab shaadi ke liye kar rahe hai rojana dhoop aur baarish mein mar rahe hai aisa bhi nahi hai ki hum shaadi se dar rahe hai arey hum to apne anubhavon se “ishq karne ke 108 tarike” wali kitaab likh rahe hai |
|
| Written by Anuj Prakash |
| < Prev | Next > |
|---|